Tajdar-E-Haram Lyrics - Atif Aslam | Coke Studio | Season 8 | EP1

Tajdar-E-Haram Lyrics - Atif Aslam | Coke Studio | Season 8 | EP1
The Tajdar-e-Haram originally sung and composed by Sabri Btothers. The lyrics by Hakim Mirza Madni. A soul full Sufi song by Atif Aslam in coke studio seaon8 episode one. Read all lyrics.
  • Recreated and sung by Atif Aslam
  • Originally composed by Sabri Brothers
  • Music by Maqbool Ahmed Sabri
  • Video ft Atif Aslam

Tajdar-E-Haram Lyrics

Qismat mein meri chain sy jeena likh dy
Duby na kabhi meraa safeenaa likh dy
Jannat bhi gawarah hay magar mery liye..
Ay kaatib-e-taqdeer Madina likh dy

Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram ho nigah-e-karam
Tajdar-e-haram hoo nigah-e-karam
Hum gharibon ky din bhi sanwar jaingy
Hami-e-be-kasaan kya kahega jahan
Hami-e-be-kasaan kya kahega jahaan..
Aap ky dar sy khaali agar jaingy
Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram

Koi apna nahin gham ky maary hain hum
Koi apna nahin gham ky maary hain hum..
Aap ky dar pay faryaad laaye hain hum
Ho nigah-e karam warna chaukhat pe hum
Ho nigaah-e karam warna chaukhat pe hum
Aap ka naam ly ly kay mar jaingy
Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram

Kya tumse kahoon ay rab ke kunwar
Tum jaanty ho man ki batiyaan
Dar furqat-e-to ay ummi-laqab
Kaate nah katy hain ab ratiyaan
Tori preet main sudh-budh sab bisri
Kab tak yeh rahegi be-khabari
Gaahe ba-figan duzdidah nazar
Kabhi sun bhee to lo hamari batiyaan
Aap ky dar se koi na khaali geya (2x)
Aap ky dar se koyi na khaali geya
Apny daman ko bhar ke sawaali geya
(O.. apne daaman ko bhar ke sawaali gaya)
Ho habib-e hazeen
Ho habib-e hazeen par bhi aqa nazar
Warna auraq-e hasti bikhar jaingy
(Ho habib-e hazeen par bhi aqa nazar
Warna auraq-e hasti bikhar jaingy)
Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram

Mai-kashon aao-aao madiny chalein
(Madiny chalen, Madiny chalen, Madiny chalen)
Mai-kashon aao-aao madiny chalein
(Madiny chalen, Madiny chalen, Madiny chalen)

Aao madiny chalen (2x)
Isi maheene chalen
Aao madeene chalen
(Aao madiny chalen, Aao madiny chalen, Isi mahiny chalen, Aao madiny chalen)

Tajaliyon ki ajab hai fiza madiny mein
(Tajaliyon ki ajab hai fiza madiny mein)
Nigah-e-shauq ki hai intiha madiny mein
(Nigah-e-shauq ki hai intiha madiny mein)
Gham-e-hayaat na khauf-e-qaza madiny mein
(Gham-e-hayaat na khauf-e-qaza madiny mein)
Namaaz-e-ishq karengy ada madiny mein
(Namaaz-e-ishq karengy ada madiny mein)
Ba-raah-e-raast hai raah-e-Khuda madiny mein

Aao madiny chalen (2x)
Isi mahiny chalen
Aao madiny chalen

Mai-kashon aao-aao madiny chalen
(Mai-kashon aao-aao madiny chalen)
Dast-e-saqi-ye kausar sy peene chalen
(Dast-e-saaqi-ye kausar sy peene chalen)

Yaad rakho agar (2x)

(Yad rakho agar, Yad rakho agar)

Uṭh gai ik nazar
Jitny khaali hain sab jam bhar jaingy
(Yad rakho agar uth gai ik nazar)
Woh nazar! jitny khaali hain sab jam bhar jaingy
Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram

Khauf-e-toofaan hay bijliyon ka hay ḍar..
(Khauf-e toofaan hay bijliyon ka hay ḍar)
Sakht mushkil hay aqa kidhar jain hum..
(Sakht mushkil hay aqa kidhar jain hum)
Aap hi gar na lengy hamaari khabar
Hum musibat ky maary kidhar jaingy
(Aap hi gar na lengy hamaari khabar
Hum musibat ky maary kidhar jaaenge
Taajdar-e-haram
Taajdar-e-haram)

Yaa Mustafa yaa Mujtaba irham lana, irham lana
Dast-e-hamah be-chaara raa
Daaman tu-hi, daaman tu-hi
Man aasi-yam man aajiz-am
Man be-kas-am haal-e-mara
Pursaaan to-ye pursaaan to-ye
Ay mushk-bed, ambar-fishaa'n
Paik-e-naseem-e-subh-dam
Ay chaarah-gar, isaa-nafas
Ay moonis-e-bimaar-e-gham
Ay qasid-e-farkhundah peh
Tujh ko usi gull ki qasam
In nalti yaa reeh as-saba
Yauman ilaa ard il-haram
Balligh' salami raudatan
Fih an-nabi yul-mohtaram

Tajdar-e-haram ho nigah-e-karam
(Tajdar-e-haram ho nigah-e-karam)
Hum gharibon ke din bhi sanwar jaaen ge
Hami-ye-be-kasaan kya kahega jahan..
(Hami-ye-be-kasaan kya kahega jahan)
Aap ky dar se khaali agar jaingy
Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram
Tajdar-e haram.
Umer Idrisi

A staunch entrepreneur with 10+ years of editing content, writing news articles and blogging on various topics. Won many awards as a top blogger. Here to talk about tech, business, life, and more!

Post a Comment

Previous Post Next Post